Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzilon ke shauq mein pagal rahi hai zindagi

Muhammad Atiq Ahmad

manzilon ke shauq mein pagal rahi hai zindagi

Muhammad Atiq Ahmad

MORE BYMuhammad Atiq Ahmad

    manziloñ ke shauq meñ pāgal rahī hai zindagī

    be-nishāñ rastoñ pe kab se chal rahī hai zindagī

    go tumhārī aañkh se ojhal rahī hai zindagī

    lamha-lamha kis qadar be-kal rahī hai zindagī

    vādī-e-nārāñ yaḳh-basta fazā ko kyā ḳhabar

    kis taraf dāmān hai kyoñ jal rahī hai zindagī

    saañs ko roke khaḌā huuñ maiñ magar ye dekhiye

    kis tarah apnī Dagar pe chal rahī hai zindagī

    tujh se jab āñkheñ milī thiiñ dil se aa.ī thī sadā

    umr guzrī hai magar is pal rahī hai zindagī

    muddatoñ ke baad dekhā hai use maiñ ne 'atīq'

    khul rahā hai mujh pe jaise phal rahī hai zindagī

    manzilon ke shauq mein pagal rahi hai zindagi

    be-nishan raston pe kab se chal rahi hai zindagi

    go tumhaari aankh se ojhal rahi hai zindagi

    lamha-lamha kis qadar be-kal rahi hai zindagi

    wadi-e-naran ki yaKH-basta faza ko kya KHabar

    kis taraf daman hai kyon jal rahi hai zindagi

    sans ko roke khaDa hun main magar ye dekhiye

    kis tarah apni Dagar pe chal rahi hai zindagi

    tujh se jab aankhen mili thin dil se aai thi sada

    umr guzri hai magar is pal rahi hai zindagi

    muddaton ke baad dekha hai use main ne 'atiq'

    khul raha hai mujh pe jaise phal rahi hai zindagi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now