manzilon ko nazar mein rakkha hai
manziloñ ko nazar meñ rakkhā hai
jab qadam rahguzar meñ rakkhā hai
ik hayūlā hai ghar ḳharābī kaa!
varna kyā ḳhaak ghar meñ rakkhā hai
ham ne husn-e-hazār-sheva ko
jalva jalva nazar meñ rakkhā hai
chāhiye sirf himmat-e-parvāz
baaġh to bāl-o-par meñ rakkhā hai
haram-o-dair se alag ham ne
abhī ik sajda sar meñ rakkhā hai
merī himmat ne apnī manzil kā
fāsla rahguzar meñ rakkhā hai
raat din dhuup chhāñv kā aalam
kyā tamāshā nazar meñ rakkhā hai
manzilon ko nazar mein rakkha hai
jab qadam rahguzar mein rakkha hai
ek hayula hai ghar KHarabi ka!
warna kya KHak ghar mein rakkha hai
hum ne husn-e-hazar-shewa ko
jalwa jalwa nazar mein rakkha hai
chahiye sirf himmat-e-parwaz
bagh to baal-o-par mein rakkha hai
haram-o-dair se alag hum ne
abhi ek sajda sar mein rakkha hai
meri himmat ne apni manzil ka
fasla rahguzar mein rakkha hai
raat din dhup chhanw ka aalam
kya tamasha nazar mein rakkha hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 189)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.