manzilon se palaT palaT jaana
manziloñ se palaT palaT jaanā
vo mirā rāstoñ meñ miT jaanā
khojnā ḳhud hī ik nayā rasta
ḳhud hī us rāste se haT jaanā
peḌ kī maut kī alāmat hai
dhuup kā chhāñv se lipaT jaanā
vo tire zer-e-lab tabassum par
dil se ġham kā ġhubār chhaT jaanā
vo tirī rahguzar meñ baiThe hue
gard se manzaroñ kī aT jaanā
dhuup kā khel hai faqat 'muḳhtār'
saa.e kā phailnā simaT jaanā
manzilon se palaT palaT jaana
wo mera raston mein miT jaana
khojna KHud hi ek naya rasta
KHud hi us raste se haT jaana
peD ki maut ki alamat hai
dhup ka chhanw se lipaT jaana
wo tere zer-e-lab tabassum par
dil se gham ka ghubar chhaT jaana
wo teri rahguzar mein baiThe hue
gard se manzaron ki aT jaana
dhup ka khel hai faqat 'muKHtar'
sae ka phailna simaT jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.