manzilon tak manzilon ki aarzu rah jaegi
manziloñ tak manziloñ kī aarzū rah jā.egī
kārvāñ thak jaa.eñ phir bhī justujū rah jā.egī
ai dil-e-nādāñ tujhe bhī chāhiye pās-e-adab
vo jo rūThe to adhūrī guftugū rah jā.egī
ġhair ke aane na aane se bhalā kyā fā.eda
tum jo aa jaao to merī aabrū rah jā.egī
is bharī mahfil meñ terī ek maiñ hī tishna-lab
sāqiyā kyā ḳhvāhish-e-jām-o-subū rah jā.egī
ham agar mahrūm hoñge ahl-e-fan kī daad se
sher kahne kī kise phir aarzū rah jā.egī
manzilon tak manzilon ki aarzu rah jaegi
karwan thak jaen phir bhi justuju rah jaegi
ai dil-e-nadan tujhe bhi chahiye pas-e-adab
wo jo ruThe to adhuri guftugu rah jaegi
ghair ke aane na aane se bhala kya faeda
tum jo aa jao to meri aabru rah jaegi
is bhari mahfil mein teri ek main hi tishna-lab
saqiya kya KHwahish-e-jam-o-subu rah jaegi
hum agar mahrum honge ahl-e-fan ki dad se
sher kahne ki kise phir aarzu rah jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.