manzur kar le faisla parwardigar ka
manzūr kar le faisla parvardigār kā
jab mas.ala nahīñ hai tere iḳhtiyār kā
qismat kī hai ye baat ki bantā hai kis se kyā
sab dekhte haiñ ḳhvāb kisī shāhkār kā
bastī meñ chīḳh chīḳh ke chup ho gayā thā sach
kartā yaqīn kaun kisī be-dayār kā
samjhā liyā hai ḳhud ko kisī taur haañ magar
hotā nahīñ hai kuchh bhī dil-e-be-qarār kā
guzregī duur hī se ki Thahregī shahr meñ
dilchasp hogā faisla ab kī bahār kā
manzur kar le faisla parwardigar ka
jab masala nahin hai tere iKHtiyar ka
qismat ki hai ye baat ki banta hai kis se kya
sab dekhte hain KHwab kisi shahkar ka
basti mein chiKH chiKH ke chup ho gaya tha sach
karta yaqin kaun kisi be-dayar ka
samjha liya hai KHud ko kisi taur han magar
hota nahin hai kuchh bhi dil-e-be-qarar ka
guzregi dur hi se ki Thahregi shahr mein
dilchasp hoga faisla ab ki bahaar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.