manzur kuchh nahin hai tumhaare siwa mujhe
manzūr kuchh nahīñ hai tumhāre sivā mujhe
tum mil ga.e to goyā ḳhudā mil gayā mujhe
pahle sā vo ḳhulūs milegā kahāñ magar
phir bhī hai dostoñ kā bahut aasrā mujhe
kyā bol the diloñ meñ jo ras gholte rahe
bhūlegī ab kahāñ vo chhanaktī sadā mujhe
'āqil' gunāh karte hue sochtā hai kaun
har ik ko hai gila ki milī kyoñ sazā mujhe
manzur kuchh nahin hai tumhaare siwa mujhe
tum mil gae to goya KHuda mil gaya mujhe
pahle sa wo KHulus milega kahan magar
phir bhi hai doston ka bahut aasra mujhe
kya bol the dilon mein jo ras gholte rahe
bhulegi ab kahan wo chhanakti sada mujhe
'aqil' gunah karte hue sochta hai kaun
har ek ko hai gila ki mili kyon saza mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.