maqam apna duniya mein zishan rakh
maqām apnā duniyā meñ zīshān rakh
jo nazroñ se tole vo mīzān rakh
muhib tū ḳhudā kā hai ḳhālis ġhalat
habīb-e-ḳhudā pe bhī īmān rakh
nā-umīdī faqat kufr-o-ilhād hai
agar tū hai momin to īqān rakh
taḳhayyul bhī ḳhud kā taġhazzul meñ ho
baġhal meñ kisī kā na dīvān rakh
ḳhudā koī DhūñDe to miltā bhī hai
tajassus to apnā pareshān rakh
maqam apna duniya mein zishan rakh
jo nazron se tole wo mizan rakh
muhib tu KHuda ka hai KHalis ghalat
habib-e-KHuda pe bhi iman rakh
na-umidi faqat kufr-o-ilhad hai
agar tu hai momin to iqan rakh
taKHayyul bhi KHud ka taghazzul mein ho
baghal mein kisi ka na diwan rakh
KHuda koi DhunDe to milta bhi hai
tajassus to apna pareshan rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.