maqam-e-girya-o-zari nahin hai
maqām-e-girya-o-zārī nahīñ hai
takallum ishq pe bhārī nahīñ hai
ye socheñ us se mil kar khil uThī haiñ
koī ilhām to jaarī nahīñ hai
tumhārī muskurāhaT meñ chhupī sī
kahānī hai magar saarī nahīñ hai
tire lahje se aksar phūTtī thī
vo ḳhushbū aaj bhī haarī nahīñ hai
sukūt-e-shab kī kyā batlā.eñ tum ko
ki us se shai koī bhārī nahīñ hai
maqam-e-girya-o-zari nahin hai
takallum ishq pe bhaari nahin hai
ye sochen us se mil kar khil uThi hain
koi ilham to jari nahin hai
tumhaari muskurahaT mein chhupi si
kahani hai magar sari nahin hai
tere lahje se aksar phuTti thi
wo KHushbu aaj bhi haari nahin hai
sukut-e-shab ki kya batlaen tum ko
ki us se shai koi bhaari nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.