Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maqbara ban jae KHud memar ka

Shareef Munawwar

maqbara ban jae KHud memar ka

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    Interesting Fact

    1976

    maqbara ban jaa.e ḳhud me'mār

    kyā bharosa ret dīvār

    kis taraf uTThe qadam kis ko ġharaz

    shahr meñ charchā rahā raftār

    ġham-zada to mutma.in thā magar

    kis ne samjhā ġham kisī ġham-ḳhvār

    maiñ huuñ aur har zarra-e-sahrā ġham

    hai aur mātam dar-o-dīvār

    rābta rakhiye har ik fankār se

    she'r kahiye apne me'yār

    is samundar meñ ghire haiñ ham jahāñ

    kashtiyoñ par bojh hai patvār

    lahr jab uTThe sadaf sāhil pe laa.e

    koī mauqa' bhī to ho iz.hār

    ḳhāma-e-be-roshnā.ī bhī huuñ maiñ

    muntazir bhī huuñ kisī shahkār

    mehr-e-'ālam-tāb sar par aa gayā

    bujh gayā saayā har ik dīvār

    koī chehra ho ki ho koī kitāb

    sab pe hai jaadū samundar-pār

    maqbara ban jae KHud me'mar ka

    kya bharosa ret ki diwar ka

    kis taraf uTThe qadam kis ko gharaz

    shahr mein charcha raha raftar ka

    gham-zada to mutmain sa tha magar

    kis ne samjha gham kisi gham-KHwar ka

    main hun aur har zarra-e-sahra ka gham

    tu hai aur matam dar-o-diwar ka

    rabta rakhiye har ek fankar se

    she'r kahiye apne hi me'yar ka

    is samundar mein ghire hain hum jahan

    kashtiyon par bojh hai patwar ka

    lahr jab uTThe sadaf sahil pe lae

    koi mauqa' bhi to ho izhaar ka

    KHama-e-be-roshnai bhi hun main

    muntazir bhi hun kisi shahkar ka

    mehr-e-'alam-tab sar par aa gaya

    bujh gaya saya har ek diwar ka

    koi chehra ho ki ho koi kitab

    sab pe hai jadu samundar-par ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now