maqbul-e-awam ho gaya main
maqbūl-e-avām ho gayā maiñ
goyā ki tamām ho gayā maiñ
ehsās kī aag se guzar kar
kuchh aur bhī ḳhaam ho gayā maiñ
dīvār-e-havā pe likh gayā vo
yuuñ naqsh-e-davām ho gayā maiñ
patthar ke paañv dho rahā thā
paanī kā payām ho gayā maiñ
uḌtā huā 'aks dekhte hī
phailā huā daam ho gayā maiñ
maqbul-e-awam ho gaya main
goya ki tamam ho gaya main
ehsas ki aag se guzar kar
kuchh aur bhi KHam ho gaya main
diwar-e-hawa pe likh gaya wo
yun naqsh-e-dawam ho gaya main
patthar ke panw dho raha tha
pani ka payam ho gaya main
uDta hua 'aks dekhte hi
phaila hua dam ho gaya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.