maqtal-e-duKHtar-e-kam-nasl se uThta tha dhuan
maqtal-e-duḳhtar-e-kam-nasl se uThtā thā dhuāñ
madfan-e-zauja-e-vālī meñ baḌī barf paḌī
maiñ ne Daalā jo koī vāsta añgāroñ ko
yaar kal raat añgeThī meñ baḌī barf paḌī
band kamre meñ mirī aañkh ne sapne señke
sahn dālān meñ khiḌkī meñ baḌī barf paḌī
os paḌtī rahī mujh par mire armānoñ par
aur aġhyār kī bastī meñ baḌī barf paḌī
maqtal-e-duKHtar-e-kam-nasl se uThta tha dhuan
madfan-e-zauja-e-wali mein baDi barf paDi
main ne Dala jo koi wasta angaron ko
yar kal raat angeThi mein baDi barf paDi
band kamre mein meri aankh ne sapne senke
sahn dalan mein khiDki mein baDi barf paDi
os paDti rahi mujh par mere armanon par
aur aghyar ki basti mein baDi barf paDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.