maqtal ka mere ghar se bahut fasla nahin
maqtal kā mere ghar se bahut fāsla nahīñ
huuñ mutma.in ki sach se koī vāsta nahīñ
ik vaqt vo ki dekhe binā chain hī na thā
ik vaqt ye ki us se koī rābta nahīñ
hai satyameva jayate kī taḳhtī lagī huī
sachchā.ī ye ki sach kā vahāñ dāḳhila nahīñ
maazī kī baat chhoḌ de rakh haal par nazar
ab vo ḳhalīl ḳhaañ bhī nahīñ fāḳhta nahīñ
us ne kahā qubūl hai saudā zamīr kā
niklā mirī zabān se be-sāḳhta nahīñ
jitnī siyāsī log kareñ bevafā.iyāñ
is darja bevafā to koī dāshta nahīñ
'vāsiq' miyāñ mizāj kī shoḳhī kahāñ ga.ī
kah to rahe the ġham se koī vāsta nahīñ
maqtal ka mere ghar se bahut fasla nahin
hun mutmain ki sach se koi wasta nahin
ek waqt wo ki dekhe bina chain hi na tha
ek waqt ye ki us se koi rabta nahin
hai satyamewa jayate ki taKHti lagi hui
sachchai ye ki sach ka wahan daKHila nahin
mazi ki baat chhoD de rakh haal par nazar
ab wo KHalil KHan bhi nahin faKHta nahin
us ne kaha qubul hai sauda zamir ka
nikla meri zaban se be-saKHta nahin
jitni siyasi log karen bewafaiyan
is darja bewafa to koi dashta nahin
'wasiq' miyan mizaj ki shoKHi kahan gai
kah to rahe the gham se koi wasta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.