maqtal mein chalne wala har chaqu mange aazadi
maqtal meñ chalne vaalā har chāqū māñge āzādī
saḌkoñ par uThne vaalā har baazū māñge āzādī
raakh sameTe chūlhe kī vo roTī aksar kahtī hai
ammī ke būḌhe hāthoñ kā jaadū māñge āzādī
āzādī se āzādī kā ronā ham ko ronā hai
āzādī se āzādī kī ḳhushbū māñge āzādī
ḳhabreñ kuchh ulTī-sīdhī sī qāsid le kar aayā hai
gañgā yamunā chup baiThī haiñ saryū māñge āzādī
un ke paale har ġham ko ab uljhā uljhā rahnā hai
tere hāthoñ se ab mere gesū māñge āzādī
ye thī himāqat us kī yā phir majbūrī thī kyā jānūñ
Das ke mujhe mere andar kā bichchhū māñge āzādī
maqtal mein chalne wala har chaqu mange aazadi
saDkon par uThne wala har bazu mange aazadi
rakh sameTe chulhe ki wo roTi aksar kahti hai
ammi ke buDhe hathon ka jadu mange aazadi
aazadi se aazadi ka rona hum ko rona hai
aazadi se aazadi ki KHushbu mange aazadi
KHabren kuchh ulTi-sidhi si qasid le kar aaya hai
ganga yamuna chup baiThi hain saryu mange aazadi
un ke pale har gham ko ab uljha uljha rahna hai
tere hathon se ab mere gesu mange aazadi
ye thi himaqat us ki ya phir majburi thi kya jaanun
Das ke mujhe mere andar ka bichchhu mange aazadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.