maqtal se bar bar guzara gaya hamein
maqtal se baar baar guzārā gayā hameñ
ḳhanjar se pahle ḳhauf se maarā gayā hameñ
in'ām baT rahā thā mohabbat meñ sabr kā
majnūñ se thoḌā pahle pukārā gayā hameñ
farhād thak ke baiTh gayā thā jahāñ kabhī
bilkul usī jagah pe utārā gayā hameñ
raajā kā beTā raajā nahīñ bantā bante ham
bas is liye kahānī meñ maarā gayā hameñ
pahle karā liyā gayā iqrār maut kā
phir zindagī ke ghaaT utārā gayā hameñ
'kāshif' vo ḳhud ko jiit na paa.e bisāt par
yā'nī ki jān-būjh ke haarā gayā hameñ
maqtal se bar bar guzara gaya hamein
KHanjar se pahle KHauf se mara gaya hamein
in'am baT raha tha mohabbat mein sabr ka
majnun se thoDa pahle pukara gaya hamein
farhad thak ke baiTh gaya tha jahan kabhi
bilkul usi jagah pe utara gaya hamein
raja ka beTa raja nahin banta bante hum
bas is liye kahani mein mara gaya hamein
pahle kara liya gaya iqrar maut ka
phir zindagi ke ghaT utara gaya hamein
'kashif' wo KHud ko jit na pae bisat par
ya'ni ki jaan-bujh ke haara gaya hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.