mar gaya gham mein tere hae mein rota rota
mar gayā ġham meñ tire haa.e meñ rotā rotā
jeb-o-dāman ke ta.iiñ ashk se dhotā dhotā
ġhair-az-ḳhār-e-sitam kuchh na ugā aur kahīñ
kisht-e-ulfat meñ phirā ashk meñ botā botā
rafta rafta huā āḳhir ke ta.iiñ ko muflis
naqd ko umr kī maiñ hijr meñ khotā khotā
garche farhād thā aur qais junūñ meñ mash.hūr
ek din maiñ bhī pahuñch jā.ūñgā hotā hotā
chauñk 'āsif' ne banāyā ajab apnā ahvāl
uTh gayā paas siiñ to sub.h jo sotā sotā
mar gaya gham mein tere hae mein rota rota
jeb-o-daman ke tain ashk se dhota dhota
ghair-az-KHar-e-sitam kuchh na uga aur kahin
kisht-e-ulfat mein phira ashk mein bota bota
rafta rafta hua aaKHir ke tain ko muflis
naqd ko umr ki main hijr mein khota khota
garche farhad tha aur qais junun mein mashhur
ek din main bhi pahunch jaunga hota hota
chaunk 'asif' ne banaya ajab apna ahwal
uTh gaya pas sin to subh jo sota sota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.