mar hi jae mabaada ajal
mar hī jaa.e mabādā ajal
nā-samajh aa.ine se nikal
zindagī ke masā.il kā hal
vaqt ke saath ḳhud ko badal
terī manzil abhī duur hai
ai musāfir zarā tez chal
yaad aa.ī bhī us kī to kab
murta.ish haath haiñ paañv shal
Thokareñ to haiñ manzil-rasāñ
ḳhauf se rāste mat badal
aaj phir tū uThā der se
toast khā chaa.e pī haath mal
terī yādoñ kī yalġhār hai
jiinā dushvār hai āj-kal
kyā adāvat meñ pās-e-adab
kyā mohabbat meñ mauqa mahal
chashm-e-nam dil kī ġhammāz hai
muskurā kar na lahja badal
shaam hone ko hai munjamid
mutriba chheḌ koī ġhazal
mar hi jae mabaada ajal
na-samajh aaine se nikal
zindagi ke masail ka hal
waqt ke sath KHud ko badal
teri manzil abhi dur hai
ai musafir zara tez chal
yaad aai bhi us ki to kab
murtaish hath hain panw shal
Thokaren to hain manzil-rasan
KHauf se raste mat badal
aaj phir tu uTha der se
toast kha chae pi hath mal
teri yaadon ki yalghaar hai
jina dushwar hai aaj-kal
kya adawat mein pas-e-adab
kya mohabbat mein mauqa mahal
chashm-e-nam dil ki ghammaz hai
muskura kar na lahja badal
sham hone ko hai munjamid
mutriba chheD koi ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.