mar hi jaun jo mile maut qarine wali
mar hī jā.ūñ jo mile maut qarīne vaalī
zindagī to mujhe lagtī nahīñ jiine vaalī
hazrat-e-shaiḳh ne pāband kiyā hai varna
ek hī chiiz mujhe lagtī hai piine vaalī
ye mire saare gharāne ke liye kaafī hai
ye kamā.ī hai mire ḳhuun pasīne vaalī
jis kisī ne bhī sunā.ī hai adhūrī hī sunā.ī
ik kahānī kisī madfūn ḳhazīne vaalī
mujh ko lagtā hai ki māḳhūz mirī ziist se hai
hai hikāyat jo bhañvar aur safīne vaalī
ho mayassar jo kabhī june meñ bhī lams tirā
ThanD paḌtī hai december ke mahīne vaalī
in ko aatī hai 'sahar' sirf garebān-darī
uñgliyāñ kab haiñ mirī chaak ko siine vaalī
mar hi jaun jo mile maut qarine wali
zindagi to mujhe lagti nahin jine wali
hazrat-e-shaiKH ne paband kiya hai warna
ek hi chiz mujhe lagti hai pine wali
ye mere sare gharane ke liye kafi hai
ye kamai hai mere KHun pasine wali
jis kisi ne bhi sunai hai adhuri hi sunai
ek kahani kisi madfun KHazine wali
mujh ko lagta hai ki maKHuz meri zist se hai
hai hikayat jo bhanwar aur safine wali
ho mayassar jo kabhi june mein bhi lams tera
ThanD paDti hai december ke mahine wali
in ko aati hai 'sahar' sirf gareban-dari
ungliyan kab hain meri chaak ko sine wali
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.