mar jaenge lekin kabhi ulfat na karenge
mar jaenge lekin kabhi ulfat na karenge
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
mar jā.eñge lekin kabhī ulfat na kareñge
ham jiine ko apne ye musībat na kareñge
hai dil meñ ki mil jā.iye ab bul-havasoñ meñ
phir ham se kahāñ tak vo muravvat na kareñge
kahte haiñ mirī jaan kā jaanā nahīñ mumkin
jab tak vo mujhe aap se ruḳhsat na kareñge
ai ḳhizr jo piinā ho hameñ āb-e-baqā bhī
is phirne se mai-ḳhāne kī ḳhidmat na kareñge
tū ab to garebāñ ko mire chhoḌ de 'ārif'
bas aaj se ham tujh ko nasīhat na kareñge
mar jaenge lekin kabhi ulfat na karenge
hum jine ko apne ye musibat na karenge
hai dil mein ki mil jaiye ab bul-hawason mein
phir hum se kahan tak wo murawwat na karenge
kahte hain meri jaan ka jaana nahin mumkin
jab tak wo mujhe aap se ruKHsat na karenge
ai KHizr jo pina ho hamein aab-e-baqa bhi
is phirne se mai-KHane ki KHidmat na karenge
tu ab to gareban ko mere chhoD de 'arif'
bas aaj se hum tujh ko nasihat na karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.