mar jaenge tum bin hum aasani se
mar jā.eñge tum bin ham āsānī se
mat taḌpāo yuuñ apnī ḳhāmoshī se
duurī apne beach meñ jānāñ itnī hai
milte milte mar jaa.eñ bechainī se
itne meñ aa jaatī hai lajjā us ko
lagte haiñ jab lab us kī peshānī se
do kamroñ meñ do pañkhoñ par do lāsheñ
rokā hogā ghar vāloñ ne shādī se
mar jaenge tum bin hum aasani se
mat taDpao yun apni KHamoshi se
duri apne beach mein jaanan itni hai
milte milte mar jaen bechaini se
itne mein aa jati hai lajja us ko
lagte hain jab lab us ki peshani se
do kamron mein do pankhon par do lashen
roka hoga ghar walon ne shadi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.