mar jaane ki us dil mein tamanna bhi nahin hai
mar jaane ki us dil mein tamanna bhi nahin hai
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
mar jaane kī us dil meñ tamannā bhī nahīñ hai
andar se koī kahtā hai jiinā bhī nahīñ hai
gul ho ga.iiñ sham.eñ zarā tum jaao havāo
shāḳhoñ pe koī TūTne vaalā bhī nahīñ hai
ai sañg sar-e-rāh malāmat se guzar jā
terā bhī nahīñ hai koī merā bhī nahīñ hai
ahbāb kī chāhat pe shub.h bhī nahīñ hotā
ham jaisā magar koī akelā bhī nahīñ hai
tū chhoḌ gayā hai to koī ġham na kareñge
is daur meñ insān ḳhudā kā bhī nahīñ hai
ye kyā ki ḳhayāloñ se uḌī jaatī hai ḳhushbū
maiñ ne to abhī tak use sochā bhī nahīñ hai
mar jaane ki us dil mein tamanna bhi nahin hai
andar se koi kahta hai jina bhi nahin hai
gul ho gain shamen zara tum jao hawao
shaKHon pe koi TuTne wala bhi nahin hai
ai sang sar-e-rah malamat se guzar ja
tera bhi nahin hai koi mera bhi nahin hai
ahbab ki chahat pe shubh bhi nahin hota
hum jaisa magar koi akela bhi nahin hai
tu chhoD gaya hai to koi gham na karenge
is daur mein insan KHuda ka bhi nahin hai
ye kya ki KHayalon se uDi jati hai KHushbu
main ne to abhi tak use socha bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.