mar kar bhi chhuTti nahin aksar lagi hui
mar kar bhī chhūTtī nahīñ aksar lagī huī
hotī bahut barī hai muqarrar lagī huī
is sho.ala-rū ko laag hai har dil se kyā bujhe
hai sab gharoñ meñ aag barābar lagī huī
dil kī ḳhabar jo aatī hai har dam zabān par
rahtī hai dam kī Daak barābar lagī huī
soz-e-darūñ ne phūñk diyā jism o jaan o dil
ik aag hai kaleja ke andar lagī huī
bhūle haiñ zauq-e-mai se 'mazāq' apnī jaañ to kyā
dil se hai yād-e-sāqī-e-kausar lagī huī
mar kar bhi chhuTti nahin aksar lagi hui
hoti bahut bari hai muqarrar lagi hui
is shoala-ru ko lag hai har dil se kya bujhe
hai sab gharon mein aag barabar lagi hui
dil ki KHabar jo aati hai har dam zaban par
rahti hai dam ki Dak barabar lagi hui
soz-e-darun ne phunk diya jism o jaan o dil
ek aag hai kaleja ke andar lagi hui
bhule hain zauq-e-mai se 'mazaq' apni jaan to kya
dil se hai yaad-e-saqi-e-kausar lagi hui
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 223)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.