Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mar kar bhi hai talash mujhe ku-e-yar ki

Ibraheem Aajiz

mar kar bhi hai talash mujhe ku-e-yar ki

Ibraheem Aajiz

MORE BYIbraheem Aajiz

    mar kar bhī hai talāsh mujhe kū-e-yār

    miTTī ḳharāb kyoñ na ho mere ġhubār

    vā'da bhī kar ke aa.e na ik shab vo mere ghar

    chhiTkī na chāñdnī qamar-e-gul-ezār

    kuchh tār-e-pairahan se nahīñ imtiyāz ab

    hālat na pūchhiye mire jism-e-nazār

    aanā na thā to ḳhat koī aap bhejte

    taskīn kuchh to hotī dil-e-be-qarār

    nargis hai shakl-e-chashm-e-tamanna ba-ainih

    laala bhī hai shabīh dil-e-dāġh-dār

    guldasta pesh kījiye laala ke phūloñ

    sunñī hoñ gāliyāñ jo kisī gul-ezār

    kyoñ is ke pīchhe hotī hai hairān ai sabā

    milne gard bhī nahīñ mere ġhubār

    vo ḳhāksār the na havā se huī buland

    marne ke baad ḳhaak hamāre mazār

    va.ada-ḳhilāf yaar se kahtā nahīñ koī

    tāqat nahīñ rahī mujhe ab intizār

    dil ab āñkhoñ se ye taqāzā hai rāt-din

    tasvīr sāmne rahe har dam nigār

    ġhurbat meñ kyoñ vatan tamanna na kījiye

    kyā kyā aziyyateñ na sahīñ dasht-e-ḳhār

    yūsuf azīz-e-misr the hāsil thī saltanat

    is jaah par bhī chaah thī apne dayār

    furqat meñ zindagānī-e-shīrīñ hai zahr-āb

    ḳhvāhish ho ḳhaak mujh ko mai-e-ḳhush-gavār

    'ājiz' hamārī āñkheñ tarastī rah ga.iiñ

    nā-dīdoñ ko nasīb rahī diid yaar

    mar kar bhi hai talash mujhe ku-e-yar ki

    miTTi KHarab kyon na ho mere ghubar ki

    wa'da bhi kar ke aae na ek shab wo mere ghar

    chhiTki na chandni qamar-e-gul-ezar ki

    kuchh tar-e-pairahan se nahin imtiyaz ab

    haalat na puchhiye mere jism-e-nazar ki

    aana na tha to KHat hi koi aap bhejte

    taskin kuchh to hoti dil-e-be-qarar ki

    nargis hai shakl-e-chashm-e-tamanna ba-ainih

    lala bhi hai shabih dil-e-dagh-dar ki

    guldasta pesh kijiye lala ke phulon ka

    sunni hon galiyan jo kisi gul-ezar ki

    kyon is ke pichhe hoti hai hairan ai saba

    milne ki gard bhi nahin mere ghubar ki

    wo KHaksar the na hawa se hui buland

    marne ke baad KHak hamare mazar ki

    wada-KHilaf yar se kahta nahin koi

    taqat nahin rahi mujhe ab intizar ki

    dil ka ab aankhon se ye taqaza hai raat-din

    taswir samne rahe har dam nigar ki

    ghurbat mein kyon watan ki tamanna na kijiye

    kya kya aziyyaten na sahin dasht-e-KHar ki

    yusuf aziz-e-misr the hasil thi saltanat

    is jah par bhi chah thi apne dayar ki

    furqat mein zindagani-e-shirin hai zahr-ab

    KHwahish ho KHak mujh ko mai-e-KHush-gawar ki

    'ajiz' hamari aankhen tarasti hi rah gain

    na-didon ko nasib rahi did yar ki

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now