mar mar ke jiye yun duniya mein jine ka saliqa bhul gae
mar mar ke jiye yun duniya mein jine ka saliqa bhul gae
Bano Tahira Sayeed
MORE BYBano Tahira Sayeed
mar mar ke jiye yuuñ duniyā meñ jiine kā salīqa bhuul ga.e
benām-o-nishāñ kuchh aise hue ham naam bhī apnā bhuul ga.e
sahrā se huī nisbat jab se vīrānoñ meñ mahfil jamtī hai
ai josh junūñ tere sadqe ābādī se rishta bhuul ga.e
sab hausle dil ke past hue sāhil pe safīna kyā pahuñchā
maujoñ se ulajhnā chhoḌ diyā tūfānoñ se laḌnā bhuul ga.e
ik ḳhvāb sā jaise dekhā thā ta.abīr na thī koī jis kī
āvāz hai kuchh kuchh yaad magar naqsh-e-ruḳh-e-zebā bhuul ga.e
ab kis kā sahārā baaqī hai ab kis se shifā māñge koī
bīmārī ne apnā kaam kiyā tum jab se masīhā bhuul ga.e
itnā hai hamārā afsāna ai 'tāhira' itnā yaad rahe
murjhā.e hue ġhunche kī tarah khilne kī tamannā bhuul ga.e
mar mar ke jiye yun duniya mein jine ka saliqa bhul gae
benam-o-nishan kuchh aise hue hum nam bhi apna bhul gae
sahra se hui nisbat jab se viranon mein mahfil jamti hai
ai josh junun tere sadqe aabaadi se rishta bhul gae
sab hausle dil ke past hue sahil pe safina kya pahuncha
maujon se ulajhna chhoD diya tufanon se laDna bhul gae
ek KHwab sa jaise dekha tha tabir na thi koi jis ki
aawaz hai kuchh kuchh yaad magar naqsh-e-ruKH-e-zeba bhul gae
ab kis ka sahaara baqi hai ab kis se shifa mange koi
bimari ne apna kaam kiya tum jab se masiha bhul gae
itna hai hamara afsana ai 'tahira' itna yaad rahe
murjhae hue ghunche ki tarah khilne ki tamanna bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.