maraz ek taraf aur dawa ek taraf
maraz ik taraf aur davā ik taraf
ḳhudāyā hai merī sadā ik taraf
magar merī āñkhoñ meñ donoñ charāġh
davā ik taraf aur duā ik taraf
ḳhudā un ke hisse meñ manzil utaar
safar ik taraf rāsta ik taraf
muqaddar pe donoñ ke pahre haiñ kyā
mehan ik taraf aur sila ik taraf
nayā mai-kada hai chalan bhī nayā
sharāb ik taraf hai nasha ik taraf
ḳhudā mere qaabū meñ aa.e na rang
ki sang ik taraf hai hinā ik taraf
aziyyat davā ko chiḌātī huī
matab dar matab silsila ik taraf
marīz ik akelā davā.eñ hazār
ġharīb ik taraf aġhniyā ik taraf
mire hāl-e-dil kā kise hosh hai
havā ik taraf hai fazā ik taraf
maraz ek taraf aur dawa ek taraf
KHudaya hai meri sada ek taraf
magar meri aankhon mein donon charagh
dawa ek taraf aur dua ek taraf
KHuda un ke hisse mein manzil utar
safar ek taraf rasta ek taraf
muqaddar pe donon ke pahre hain kya
mehan ek taraf aur sila ek taraf
naya mai-kada hai chalan bhi naya
sharab ek taraf hai nasha ek taraf
KHuda mere qabu mein aae na rang
ki sang ek taraf hai hina ek taraf
aziyyat dawa ko chiDati hui
matab dar matab silsila ek taraf
mariz ek akela dawaen hazar
gharib ek taraf aghniya ek taraf
mere haal-e-dil ka kise hosh hai
hawa ek taraf hai faza ek taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.