maraz lagta hai jo mujhko use meri dawa samjhe
maraz lagta hai jo mujhko use meri dawa samjhe
Zohheb Farooqui Afrang
MORE BYZohheb Farooqui Afrang
maraz lagtā hai jo mujh ko use merī davā samjhe
divāna ho gayā huuñ maiñ divānoñ ko vo kyā samjhe
maiñ apne aap meñ ḳhush huuñ mujhe is se ġharaz kyā hai
ki ye mujh ko bhalā samjhe ki vo mujh ko burā samjhe
bichhaḌne kā vo ham se naam tak lene se ghabrā.e
jise ham hijr kahte haiñ use vo bad-duā samjhe
gunāhoñ se bachā jaa.e kahāñ tak is zamāne meñ
ki har ik moḌ par milte haiñ vo jin se ḳhudā samjhe
bharosā kyā mohabbat kab tumheñ badnām kar jaa.e
ki āshiq ko hamesha hī zamāna sar-phirā samjhe
hameñ vo kis sazā ke vāste tayyār kartā hai
jo apne bhī gunāhoñ ko hamārī hī ḳhatā samjhe
vo ham se niiñd ke raste sahī par rū-ba-rū to ho
kabhī to āñkhoñ meñ bhar le hameñ bhī ḳhvāb sā samjhe
hameñ 'afrañg' zālim se shikāyat hai to itnī hai
ham us ko to samajhte haiñ vo ham ko bhī zarā samjhe
maraz lagta hai jo mujh ko use meri dawa samjhe
diwana ho gaya hun main diwanon ko wo kya samjhe
main apne aap mein KHush hun mujhe is se gharaz kya hai
ki ye mujh ko bhala samjhe ki wo mujh ko bura samjhe
bichhaDne ka wo hum se nam tak lene se ghabrae
jise hum hijr kahte hain use wo bad-dua samjhe
gunahon se bacha jae kahan tak is zamane mein
ki har ek moD par milte hain wo jin se KHuda samjhe
bharosa kya mohabbat kab tumhein badnam kar jae
ki aashiq ko hamesha hi zamana sar-phira samjhe
hamein wo kis saza ke waste tayyar karta hai
jo apne bhi gunahon ko hamari hi KHata samjhe
wo hum se nind ke raste sahi par ru-ba-ru to ho
kabhi to aankhon mein bhar le hamein bhi KHwab sa samjhe
hamein 'afrang' zalim se shikayat hai to itni hai
hum us ko to samajhte hain wo hum ko bhi zara samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.