marbut kaamyabi hai warastagi ke sath
marbut kaamyabi hai warastagi ke sath
Mohammad Sharfuddin Sahil
MORE BYMohammad Sharfuddin Sahil
marbūt kāmyābī hai vārastagī ke saath
rakh rāh-e-pur-ḳhatar meñ qadam puḳhtagī ke saath
pyāsā taḌap rahā huuñ maiñ dariyā ke paas bhī
hai intihā-e-zulm mirī tishnagī ke saath
zulmat-kade ko nuur kā maskan banā diyā
hai raushnī ko rabt hasīñ tīrgī ke saath
bas is liye ḳhushī kī adāvat kā huuñ hadaf
vābasta kyoñ alam hai mirī zindagī ke saath
merā savāl sharm se hotā hai āb-āb
dete haiñ vo javāb hī is sādgī ke saath
mashrab meñ mere dil kā dukhānā gunāh hai
kyā vāsta hai mujh ko tirī dil-lagī ke saath
'sāhil' riyā-o-makr ke sajdoñ se fā.eda
nādān kaam adl se le bandagī ke saath
marbut kaamyabi hai warastagi ke sath
rakh rah-e-pur-KHatar mein qadam puKHtagi ke sath
pyasa taDap raha hun main dariya ke pas bhi
hai intiha-e-zulm meri tishnagi ke sath
zulmat-kade ko nur ka maskan bana diya
hai raushni ko rabt hasin tirgi ke sath
bas is liye KHushi ki adawat ka hun hadaf
wabasta kyon alam hai meri zindagi ke sath
mera sawal sharm se hota hai aab-ab
dete hain wo jawab hi is sadgi ke sath
mashrab mein mere dil ka dukhana gunah hai
kya wasta hai mujh ko teri dil-lagi ke sath
'sahil' riya-o-makr ke sajdon se faeda
nadan kaam adl se le bandagi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.