mard-e-maidan ho to kyon katra rahe ho jang se
mard-e-maidan ho to kyon katra rahe ho jang se
Zakiya Shaikh Meena
MORE BYZakiya Shaikh Meena
mard-e-maidāñ ho to kyoñ katrā rahe ho jang se
kab talak ḳhar-mastiyāñ yūñhī rabāb-o-chang se
be-hisī oḌhe hue kab tak yuuñ hī zillat saheñ
koī to āvāz uThā.e ik na.e āhang se
ho baserā ḳhaak par daa.im tirā misl-e-malañg
joḌ mat rishta tū apnī zaat kā aurañg se
ho tirā aḳhlāq bar buniyād-e-ijz-o-inkisār
ādmiyyat rakh bachā kar nafratoñ ke zañg se
mat dalīleñ pesh kar kotāhiyoñ par is tarah
bā.is-e-ta.azīr Thahregā tū uzr-e-lañg se
poñchh de gard-e-taġhāful toḌ tār-e-ankabūt
naqsh raushan hoñ tirī tasvīr ke arzhang se
aañkh meñ afvāj ḳhvāboñ kī utāreñ mustaqil
aur tā'bīreñ uThā.eñ zindagī kī jang se
mard-e-maidan ho to kyon katra rahe ho jang se
kab talak KHar-mastiyan yunhi rabab-o-chang se
be-hisi oDhe hue kab tak yun hi zillat sahen
koi to aawaz uThae ek nae aahang se
ho basera KHak par daim tera misl-e-malang
joD mat rishta tu apni zat ka aurang se
ho tera aKHlaq bar buniyaad-e-ijz-o-inkisar
aadmiyyat rakh bacha kar nafraton ke zang se
mat dalilen pesh kar kotahiyon par is tarah
bais-e-tazir Thahrega tu uzr-e-lang se
ponchh de gard-e-taghaful toD tar-e-ankabut
naqsh raushan hon teri taswir ke arzhang se
aankh mein afwaj KHwabon ki utaren mustaqil
aur ta'biren uThaen zindagi ki jang se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.