mard hon aise sitamgar nahin achchhe lagte
mard hoñ aise sitamgar nahīñ achchhe lagte
aa.ine toḌte patthar nahīñ achchhe lagte
chāhne vaale bichhaḌ jaa.eñ to dukh hotā hai
bevafā.ī ke bhī manzar nahīñ achchhe lagte
chāñd taaro karo tārīk shaboñ ko raushan
mujh ko tārīk se manzar nahīñ achchhe lagte
mujh ko in khokhle da.avoñ se bhī ghin aatī hai
phuul ke bhes meñ patthar nahīñ achchhe lagte
baat 'amrīna' se karnī ho to khul kar karnā
ye hijāboñ meñ chhupe Dar nahīñ achchhe lagte
mard hon aise sitamgar nahin achchhe lagte
aaine toDte patthar nahin achchhe lagte
chahne wale bichhaD jaen to dukh hota hai
bewafai ke bhi manzar nahin achchhe lagte
chand taro karo tarik shabon ko raushan
mujh ko tarik se manzar nahin achchhe lagte
mujh ko in khokhle dawon se bhi ghin aati hai
phul ke bhes mein patthar nahin achchhe lagte
baat 'amrina' se karni ho to khul kar karna
ye hijabon mein chhupe Dar nahin achchhe lagte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.