mard KHush-KHu nahin to phir kya hai
mard ḳhush-ḳhū nahīñ to phir kyā hai
phuul meñ bū nahīñ to phir kyā hai
ho parī-rū hazār koī hasīn
ādmī-ḳhū nahīñ to phir kyā hai
kaun bastā hai ka.abe ke andar
ālam-e-hū nahīñ to phir kyā hai
vahī āñkheñ haiñ aisī hī vahshat
yaar aahū nahīñ to phir kyā hai
mutahayyar haiñ kyoñ ye ahl-e-nazar
har jagah tū nahīñ to phir kyā hai
maiñ musaḳhḳhar huā in āñkhoñ kā
in meñ jaadū nahīñ to phir kyā hai
rang-o-bū donoñ gul ko lāzim haiñ
rang hai bū nahīñ to phir kyā hai
dostoñ kā bhī qatl-e-ām kiyā
tū halākū nahīñ to phir kyā hai
tū hai qattāl-e-dahr dil meñ tire
faiz-e-rājū nahīñ to phir kyā hai
haiñ yahāñ sard-mehr sab māshūq
dakan aabū nahīñ to phir kyā hai
dil meñ faujeñ haiñ yās-o-hasrat kī
ab ye kampū nahīñ to phir kyā hai
jab talak tū hai sau bakheḌe haiñ
jis ghaḌī tū nahīñ to phir kyā hai
ho jo dushman vo dost ban jaa.e
ḳhulq jaadū nahīñ to phir kyā hai
ḳhvāb meñ dekhtā huuñ maiñ kaale
yād-e-gesū nahīñ to phir kyā hai
charḳh par chaḌh ke ban gayā mah-e-nau
terā abrū nahīñ to phir kyā hai
jis ke kahne meñ dil ho vo hī diler
us pe qaabū nahīñ to phir kyā hai
murda-dil sun ke jī uThe 'akbar'
sher jaadū nahīñ to phir kyā hai
mard KHush-KHu nahin to phir kya hai
phul mein bu nahin to phir kya hai
ho pari-ru hazar koi hasin
aadmi-KHu nahin to phir kya hai
kaun basta hai kabe ke andar
aalam-e-hu nahin to phir kya hai
wahi aankhen hain aisi hi wahshat
yar aahu nahin to phir kya hai
mutahayyar hain kyon ye ahl-e-nazar
har jagah tu nahin to phir kya hai
main musaKHKHar hua in aankhon ka
in mein jadu nahin to phir kya hai
rang-o-bu donon gul ko lazim hain
rang hai bu nahin to phir kya hai
doston ka bhi qatl-e-am kiya
tu halaku nahin to phir kya hai
tu hai qattal-e-dahr dil mein tere
faiz-e-raju nahin to phir kya hai
hain yahan sard-mehr sab mashuq
dakan aabu nahin to phir kya hai
dil mein faujen hain yas-o-hasrat ki
ab ye kampu nahin to phir kya hai
jab talak tu hai sau bakheDe hain
jis ghaDi tu nahin to phir kya hai
ho jo dushman wo dost ban jae
KHulq jadu nahin to phir kya hai
KHwab mein dekhta hun main kale
yaad-e-gesu nahin to phir kya hai
charKH par chaDh ke ban gaya mah-e-nau
tera abru nahin to phir kya hai
jis ke kahne mein dil ho wo hi diler
us pe qabu nahin to phir kya hai
murda-dil sun ke ji uThe 'akbar'
sher jadu nahin to phir kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.