mare dosh par teri lash re o maashre
mare dosh par tirī laash re o ma.āshre
terā marg fikr-e-ma.āsh re o ma.āshre
maiñ janm janm kā faqīr huuñ to amiir huuñ
mujhe raas merā qimāsh re o ma.āshre
ka.ī uljhanoñ kā javāz huuñ koī raaz huuñ
mujhe mujh pe rahne de faash re o ma.āshre
ka.ī āsmānoñ se duur huuñ maiñ ġhurūr huuñ
mujhe kab hai terī talāsh re o ma.āshre
koī barf-zād vajūd huuñ maiñ jumūd huuñ
mujhe dhuup se na tarāsh re o ma.āshre
mirā zaḳhm zaḳhm dikhā diyā mujhe kyā diyā
faqat āñsuoñ kā farāsh re o ma.āshre
ai ḳhudā-e-dil ai ḳhudā-e-dil ai ḳhudā-e-dil
o ma.āshre o ma.āshre o ma.āshre
mare dosh par teri lash re o maashre
tera marg fikr-e-maash re o maashre
main janm janm ka faqir hun to amir hun
mujhe ras mera qimash re o maashre
kai uljhanon ka jawaz hun koi raaz hun
mujhe mujh pe rahne de fash re o maashre
kai aasmanon se dur hun main ghurur hun
mujhe kab hai teri talash re o maashre
koi barf-zad wajud hun main jumud hun
mujhe dhup se na tarash re o maashre
mera zaKHm zaKHm dikha diya mujhe kya diya
faqat aansuon ka farash re o maashre
ai KHuda-e-dil ai KHuda-e-dil ai KHuda-e-dil
o maashre o maashre o maashre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.