marg-asar anasir dar-o-diwar mein hai
marg-āsār 'anāsir dar-o-dīvār meñ hai
lā-makānī kā tasavvur dil-e-āzār meñ hai
haañ balā se na kisī taaj na dastār meñ hai
sar zamāne kā magar nashsha-e-pindār meñ hai
hai mire zehn meñ tanqīd kā ḳhanjar paivast
varna taḳhlīq to taaza mire afkār meñ hai
jaag uThtī hai sisaktī hai bikhar jaatī hai
ek tahrīk ki pāzeb kī jhankār meñ hai
is tag-o-dau meñ kahīñ kho nahīñ jaa.e 'shahzād'
ek pahchān ki raushan mire kirdār meñ hai
marg-asar 'anasir dar-o-diwar mein hai
la-makani ka tasawwur dil-e-azar mein hai
han bala se na kisi taj na dastar mein hai
sar zamane ka magar nashsha-e-pindar mein hai
hai mere zehn mein tanqid ka KHanjar paiwast
warna taKHliq to taza mere afkar mein hai
jag uThti hai sisakti hai bikhar jati hai
ek tahrik ki pazeb ki jhankar mein hai
is tag-o-dau mein kahin kho nahin jae 'shahzad'
ek pahchan ki raushan mere kirdar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.