marhaba dida-e-mai-nosh mein aane wale
marhabā dīda-e-mai-nosh meñ aane vaale
ab tire riñd nahīñ hosh meñ aa ne vaale
dekh saaqī rahe ḳhālī na tirā koī subū
jaam haiñ dast-e-balā-nosh meñ aane vaale
qatl ai ziist tirī sej pe dhoke se hue
mar ga.e sab tirī āġhosh meñ aane vaale
jā-ba-jā dekh ke hañste hue chehroñ ke mazār
ro paḌe kūcha-e-ḳhāmosh meñ aane vaale
sāl-hā-sāl jinheñ dasht se mānūs kiyā
ab ye paañv nahīñ pā-posh meñ aane vaale
itnā idrāk to hai ham ko ki āsānī se
ham nahīñ dast-e-sitam-kosh meñ aane vaale
sab taraf-dār tire nikle adākār 'hasan'
maslahat-kosh the sab josh meñ aane vaale
marhaba dida-e-mai-nosh mein aane wale
ab tere rind nahin hosh mein aa ne wale
dekh saqi rahe KHali na tera koi subu
jam hain dast-e-bala-nosh mein aane wale
qatl ai zist teri sej pe dhoke se hue
mar gae sab teri aaghosh mein aane wale
ja-ba-ja dekh ke hanste hue chehron ke mazar
ro paDe kucha-e-KHamosh mein aane wale
sal-ha-sal jinhen dasht se manus kiya
ab ye panw nahin pa-posh mein aane wale
itna idrak to hai hum ko ki aasani se
hum nahin dast-e-sitam-kosh mein aane wale
sab taraf-dar tere nikle adakar 'hasan'
maslahat-kosh the sab josh mein aane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.