marhala-dar-marhala yun mujhko sar usne kiya
marhala-dar-marhala yuuñ mujh ko sar us ne kiyā
merī nazroñ se guzar kar dil meñ ghar us ne kiyā
chhāñv haath aa.ī nahīñ yūñhī ghane ashjār kī
chilchilātī dhuup meñ bhī tai safar us ne kiyā
har qadam par saath mere laġhzishoñ kī bhiiḌ thī
chashm-e-bāliġh se unheñ sarf-e-nazar us ne kiyā
kah rahe haiñ kaale gahre aañkh ke vo dā.ere
zahr pī kar zulmat-e-shab ko sahar us ne kiyā
qatl ḳhanjar se agar kartā na kartā maiñ gila
maslahat kī dhaar se ḳhūn-e-jigar us ne kiyā
ḳhūn-e-dil se zaḳhm-e-jāñ ko sīñchnā āsāñ na thā
kaam vaise thā bahut mushkil magar us ne kiyā
ek vo mujh ko zamīñ kā chāñd kahtā hai 'nazar'
us kā ehsāñ hai ki zarre ko qamar us ne kiyā
marhala-dar-marhala yun mujh ko sar us ne kiya
meri nazron se guzar kar dil mein ghar us ne kiya
chhanw hath aai nahin yunhi ghane ashjar ki
chilchilati dhup mein bhi tai safar us ne kiya
har qadam par sath mere laghzishon ki bhiD thi
chashm-e-baaligh se unhen sarf-e-nazar us ne kiya
kah rahe hain kale gahre aankh ke wo daere
zahr pi kar zulmat-e-shab ko sahar us ne kiya
qatl KHanjar se agar karta na karta main gila
maslahat ki dhaar se KHun-e-jigar us ne kiya
KHun-e-dil se zaKHm-e-jaan ko sinchna aasan na tha
kaam waise tha bahut mushkil magar us ne kiya
ek wo mujh ko zamin ka chand kahta hai 'nazar'
us ka ehsan hai ki zarre ko qamar us ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.