marhala did ka takrar tak aa pahuncha hai
marhala diid kā takrār tak aa pahuñchā hai
tuur se chal ke junūñ daar tak aa pahuñchā hai
baat aa pahuñchī hai andesha-e-rusvā.ī tak
jazba-e-dil lab-e-iz.hār tak aa pahuñchā hai
sho.ala-e-ishq jo raushan hai mire siine meñ
rang ban kar tire ruḳhsār tak aa pahuñchā hai
ehtiyātan tirī nazroñ ne chhupāyā thā jise
vo fasāna lab-e-aġhyār tak aa pahuñchā hai
ab nahīñ dil meñ tamanna kā nishāñ tak baaqī
aa.ina aks-e-ruḳh-e-yār tak aa pahuñchā hai
sham.a ne le liyā āġhosh meñ parvāne ko
jab ye dekhā mire me.aar tak aa pahuñchā hai
un kī sarshār nigāhoñ kā tasavvur jaise
mai-kada ḳhud lab-e-mai-ḳhvār tak aa pahuñchā hai
mutma.in vus.at-e-dāmān-e-lahad meñ hai 'tufail'
rāh-rau jaise dar-e-yār tak aa pahuñchā hai
marhala did ka takrar tak aa pahuncha hai
tur se chal ke junun dar tak aa pahuncha hai
baat aa pahunchi hai andesha-e-ruswai tak
jazba-e-dil lab-e-izhaar tak aa pahuncha hai
shoala-e-ishq jo raushan hai mere sine mein
rang ban kar tere ruKHsar tak aa pahuncha hai
ehtiyatan teri nazron ne chhupaya tha jise
wo fasana lab-e-aghyar tak aa pahuncha hai
ab nahin dil mein tamanna ka nishan tak baqi
aaina aks-e-ruKH-e-yar tak aa pahuncha hai
shama ne le liya aaghosh mein parwane ko
jab ye dekha mere mear tak aa pahuncha hai
un ki sarshaar nigahon ka tasawwur jaise
mai-kada KHud lab-e-mai-KHwar tak aa pahuncha hai
mutmain wusat-e-daman-e-lahad mein hai 'tufail'
rah-rau jaise dar-e-yar tak aa pahuncha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.