marhale aae rah-e-ishq mein dushwar kai
marhale aa.e rah-e-ishq meñ dushvār ka.ī
maiñ ne ik chāñd ke dekhe haiñ talabgār ka.ī
vahshat-e-ram thī tabī.at meñ ġhazāloñ jaisī
yuuñ to aate hī rahe raah meñ chhitnār ka.ī
huuñ vo tasvīr jo ab tak hai nihāñ rañgoñ meñ
yuuñ to sunte haiñ ki haiñ shahr meñ fankār ka.ī
ziist karnā bhī huā chaumukhī laḌnā goyā
apnī hī zaat se bhī hote haiñ paikār ka.ī
chashm-e-bīnā ho parakh ho to nazar ā.eñge
haft-iqlīm liye phirte haiñ nādār ka.ī
sar pe sūraj thā zamīñ saḳht akelī thī maiñ
saa.e meñ pahuñchī to the hamdam-o-dildār ka.ī
munharif chāragarī se huā īmāñ merā
dil dukhā jaate haiñ kuchh aur bhī ġham-ḳhvār ka.ī
marhale aae rah-e-ishq mein dushwar kai
main ne ek chand ke dekhe hain talabgar kai
wahshat-e-ram thi tabiat mein ghazalon jaisi
yun to aate hi rahe rah mein chhitnar kai
hun wo taswir jo ab tak hai nihan rangon mein
yun to sunte hain ki hain shahr mein fankar kai
zist karna bhi hua chaumukhi laDna goya
apni hi zat se bhi hote hain paikar kai
chashm-e-bina ho parakh ho to nazar aaenge
haft-iqlim liye phirte hain nadar kai
sar pe suraj tha zamin saKHt akeli thi main
sae mein pahunchi to the hamdam-o-dildar kai
munharif chaaragari se hua iman mera
dil dukha jate hain kuchh aur bhi gham-KHwar kai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.