marhale saKHt bahut pesh-e-nazar bhi aae
marhale saḳht bahut pesh-e-nazar bhī aa.e
ham magar tai ye safar shaan se kar bhī aa.e
is safar meñ ka.ī aise bhī mile log hameñ
jo bulandī pe ga.e aur utar bhī aa.e
sirf hone se kahāñ mas.ala hal hotā hai
pas-e-dīvār koī hai to nazar bhī aa.e
dil agar hai to na ho dard se ḳhālī kisī taur
aañkh agar hai to kisī baat pe bhar bhī aa.e
marhale saKHt bahut pesh-e-nazar bhi aae
hum magar tai ye safar shan se kar bhi aae
is safar mein kai aise bhi mile log hamein
jo bulandi pe gae aur utar bhi aae
sirf hone se kahan masala hal hota hai
pas-e-diwar koi hai to nazar bhi aae
dil agar hai to na ho dard se KHali kisi taur
aankh agar hai to kisi baat pe bhar bhi aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.