Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

marhale zist ke dushwar nahin diwano

Manzar Ayubi

marhale zist ke dushwar nahin diwano

Manzar Ayubi

MORE BYManzar Ayubi

    marhale ziist ke dushvār nahīñ dīvāno

    māvrā-e-rasan-o-dārnahīñ dīvāno

    kyā karoge dil-e-pur-ḳhūñ hikāyat sun kar

    ye hadīs-e-lab-o-ruḳhsār nahīñ dīvāno

    aaj kyuuñ pand-gar-e-vaqt taqrīroñ meñ

    lazzat-e-shoḳhī-e-guftār nahīñ dīvāno

    ḳhāka-e-zehn pe ubhre to koī naqsh-e-jamīl

    band darvāza-e-inkār nahīñ dīvāno

    kyā karoge mah-o-anjum pe jamā kar nazreñ

    mehr-e-getī ziyā-bār nahīñ dīvāno

    pursish-e-hāl meñ ehsās-e-takalluf kaisā

    koī saaya pas-e-dīvār nahīñ dīvāno

    koī raushan to kare sham-e-shabistān-e-ḳhayāl

    munjamid chashma-e-anvar nahīñ dīvāno

    marhale zist ke dushwar nahin diwano

    mawra-e-rasan-o-darnahin diwano

    kya karoge dil-e-pur-KHun ki hikayat sun kar

    ye hadis-e-lab-o-ruKHsar nahin diwano

    aaj kyun pand-gar-e-waqt ki taqriron mein

    lazzat-e-shoKHi-e-guftar nahin diwano

    KHaka-e-zehn pe ubhre to koi naqsh-e-jamil

    band darwaza-e-inkar nahin diwano

    kya karoge mah-o-anjum pe jama kar nazren

    mehr-e-geti hi ziya-bar nahin diwano

    pursish-e-haal mein ehsas-e-takalluf kaisa

    koi saya pas-e-diwar nahin diwano

    koi raushan to kare sham-e-shabistan-e-KHayal

    munjamid chashma-e-anwar nahin diwano

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now