marhalon se nae guzarna hai
marhaloñ se na.e guzarnā hai
ham ko andhā safar bhī karnā hai
sūkhe patte kī zindagī kitnī
shāḳh se TūTnā bikharnā hai
apnī qismat hai mauj-e-dariyā sī
Dūbnā Duub kar ubharnā hai
aa.ine ke hai rū-ba-rū shāyad
az-sar-e-nau use sañvarnā hai
fikr-e-duniyā se kyā 'razā' hāsil
fikr-e-uqbā bhī tum ko karnā hai
marhalon se nae guzarna hai
hum ko andha safar bhi karna hai
sukhe patte ki zindagi kitni
shaKH se TuTna bikharna hai
apni qismat hai mauj-e-dariya si
Dubna Dub kar ubharna hai
aaine ke hai ru-ba-ru shayad
az-sar-e-nau use sanwarna hai
fikr-e-duniya se kya 'raza' hasil
fikr-e-uqba bhi tum ko karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.