marham bhi mere zaKHm ka aazar se nikla
marham bhī mire zaḳhm kā āzār se niklā
iqrār kā pahlū tire inkār se niklā
thā terī ra.ūnat ke pas-e-parda koī aur
sar aur kisī kā tirī dastār se niklā
kis shaḳhs kī rah dekhne betāb sā ho kar
saayā kabhī dar se kabhī dīvār se niklā
yādoñ ke kisī baab meñ rakhā huā koī ḳhvāb
sūkhe hue ik phuul kī mahkār se niklā
is sañg-sifat shaḳhs ke lahje meñ mohabbat
yā chashma-e-shīrīñ kisī kohsār se niklā
duniyā tirī sūrat ke ḳharīdār bahut the
luT kar hī gayā jo tire bāzār se niklā
is ḳhaak kī tah meñ thī koī mauj-e-balā-ḳhez
lafzoñ kā samundar mire afkār se niklā
marham bhi mere zaKHm ka aazar se nikla
iqrar ka pahlu tere inkar se nikla
tha teri raunat ke pas-e-parda koi aur
sar aur kisi ka teri dastar se nikla
kis shaKHs ki rah dekhne betab sa ho kar
saya kabhi dar se kabhi diwar se nikla
yaadon ke kisi bab mein rakha hua koi KHwab
sukhe hue ek phul ki mahkar se nikla
is sang-sifat shaKHs ke lahje mein mohabbat
ya chashma-e-shirin kisi kohsar se nikla
duniya teri surat ke KHaridar bahut the
luT kar hi gaya jo tere bazar se nikla
is KHak ki tah mein thi koi mauj-e-bala-KHez
lafzon ka samundar mere afkar se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.