mari wafa ne khilae the jo gulab sare jhulas gae hain
marī vafā ne khilā.e the jo gulāb saare jhulas ga.e haiñ
tumhārī āñkhoñ meñ jis qadar the vo ḳhvāb saare jhulas ga.e haiñ
marī zamīñ ko kisī na.e hādse kā hai intizār shāyad
gunāh phalne lage haiñ ajr o savāb saare jhulas ga.e haiñ
jo tum ga.e to mirī nazar pe haqīqatoñ ke azaab utre
ye sochtā huuñ ki kyā karūñgā sarāb saare jhulas ga.e haiñ
ye mo.ajiza sirf ek shab kī masāfatoñ ke sabab huā hai
tumhāre aur mere darmiyāñ ke hijāb saare jhulas ga.e haiñ
use batānā ki us kī yādoñ ke saare safhe jalā chukā huuñ
kitāb-e-dil meñ raqam the jitne vo baab saare jhulas ga.e haiñ
nazar uThā.ūñ maiñ jis taraf bhī muhīb saa.e haiñ zulmatoñ ke
ye kyā ki mere nasīb ke māhtāb saare jhulas ga.e haiñ
tumhārī nazroñ kī ye tapish hai ki mere lafzoñ pe aable haiñ
savāl saare jhulas ga.e haiñ javāb saare jhulas ga.e haiñ
ye aag ḳhāmoshiyoñ kī kaisī tumhārī āñkhoñ meñ tairtī hai
tumhāre hoñToñ pe darj the jo nisāb saare jhulas ga.e haiñ
mari wafa ne khilae the jo gulab sare jhulas gae hain
tumhaari aankhon mein jis qadar the wo KHwab sare jhulas gae hain
mari zamin ko kisi nae hadse ka hai intizar shayad
gunah phalne lage hain ajr o sawab sare jhulas gae hain
jo tum gae to meri nazar pe haqiqaton ke azab utre
ye sochta hun ki kya karunga sarab sare jhulas gae hain
ye moajiza sirf ek shab ki masafaton ke sabab hua hai
tumhaare aur mere darmiyan ke hijab sare jhulas gae hain
use batana ki us ki yaadon ke sare safhe jala chuka hun
kitab-e-dil mein raqam the jitne wo bab sare jhulas gae hain
nazar uThaun main jis taraf bhi muhib sae hain zulmaton ke
ye kya ki mere nasib ke mahtab sare jhulas gae hain
tumhaari nazron ki ye tapish hai ki mere lafzon pe aable hain
sawal sare jhulas gae hain jawab sare jhulas gae hain
ye aag KHamoshiyon ki kaisi tumhaari aankhon mein tairti hai
tumhaare honTon pe darj the jo nisab sare jhulas gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.