mariz-e-ishq ko hai dard-e-dil dawa ke liye
mariz-e-ishq ko hai dard-e-dil dawa ke liye
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
marīz-e-ishq ko hai dard-e-dil davā ke liye
rahī ġhizā so hai ḳhūn-e-jigar ġhizā ke liye
vo kārgar ho duā kyā bhalā shifā ke liye
na jab duā meñ ho DhūñDe asar davā ke liye
haiñ ab ke tez jo sahrā meñ is qadar sar-e-ḳhār
ḳhudā hī jaane ki haiñ kis barahna-pā ke liye
na kyūñki jaan de dil sadma-e-jigar sun kar
hamesha dete haiñ jaañ yaarī āshnā ke liye
ham āsiyoñ kā bhī allāh hai gar ai vaa.iz
tū mo'taqid hai ki jannat hai pārsā ke liye
jafā-e-charḳh-o-sitam-hā-e-ġhair-o-hasrat-o-ġham
ye jhagḌe jaan ko mol un se dil lagā ke liye
vo qātil aa.e to yaañ ham bhī sar hathelī par
liye phire haiñ usī ḳhanjar-āzmā ke liye
tum apnā dil liye phirte ho us ne lākhoñ dil
isī tarah se haiñ bāteñ banā banā ke liye
huā hai rañg-e-hinā 'aish' zeb-e-pā us ke
ye jā-e-rashk hai rutba ho ye hinā ke liye
mariz-e-ishq ko hai dard-e-dil dawa ke liye
rahi ghiza so hai KHun-e-jigar ghiza ke liye
wo kargar ho dua kya bhala shifa ke liye
na jab dua mein ho DhunDe asar dawa ke liye
hain ab ke tez jo sahra mein is qadar sar-e-KHar
KHuda hi jaane ki hain kis barahna-pa ke liye
na kyunki jaan de dil sadma-e-jigar sun kar
hamesha dete hain jaan yari aashna ke liye
hum aasiyon ka bhi allah hai gar ai waiz
tu mo'taqid hai ki jannat hai parsa ke liye
jafa-e-charKH-o-sitam-ha-e-ghair-o-hasrat-o-gham
ye jhagDe jaan ko mol un se dil laga ke liye
wo qatil aae to yan hum bhi sar hatheli par
liye phire hain usi KHanjar-azma ke liye
tum apna dil liye phirte ho us ne lakhon dil
isi tarah se hain baaten bana bana ke liye
hua hai rang-e-hina 'aish' zeb-e-pa us ke
ye ja-e-rashk hai rutba ho ye hina ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.