markaz-e-chashm hai ab lal-o-guhar ka sauda
markaz-e-chashm hai ab la.al-o-guhar kā saudā
nang-e-bāzār huā dīda-e-tar kā saudā
aaj chūlhe se uThegā koī sho.ala na dhuāñ
aaj lauTā hī nahīñ le ke vo ghar kā saudā
sāhab-e-sar ko ḳhabar bhī nahīñ hone paatī
aur ho jaatā hai bāzār meñ sar kā saudā
ab mayassar hai na sahrā na bayābāñ koī
le ke jā.egā kahāñ mujh ko ye sar kā saudā
'mīr'-jī kab ke ga.e chhoḌ ke bāzār 'shakeb'
pher kar le chalo ab tum bhī hunar kā saudā
markaz-e-chashm hai ab lal-o-guhar ka sauda
nang-e-bazar hua dida-e-tar ka sauda
aaj chulhe se uThega koi shoala na dhuan
aaj lauTa hi nahin le ke wo ghar ka sauda
sahab-e-sar ko KHabar bhi nahin hone pati
aur ho jata hai bazar mein sar ka sauda
ab mayassar hai na sahra na bayaban koi
le ke jaega kahan mujh ko ye sar ka sauda
'mir'-ji kab ke gae chhoD ke bazar 'shakeb'
pher kar le chalo ab tum bhi hunar ka sauda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.