markaz-e-dahr zat meri hai
markaz-e-dahr zaat merī hai
rashk-e-duniyā hayāt merī hai
ye zamīñ ye falak ye bahr-o-bar
ye hasīñ kā.enāt merī hai
merī ḳhātir nikaltā hai sūraj
din hai merā ye raat merī hai
varaq-e-gul pe sher haiñ mere
baat bhī paat paat merī hai
sach kī sūrat kahī hai jis ne bhī
sach to ye hai vo baat merī hai
kyā huā agar nahīñ mirā qabza
phir bhī kul kā.enāt merī hai
terī qismat ho yā mirī 'jāmī'
jo bhī hai tere saath merī hai
markaz-e-dahr zat meri hai
rashk-e-duniya hayat meri hai
ye zamin ye falak ye bahr-o-bar
ye hasin kaenat meri hai
meri KHatir nikalta hai suraj
din hai mera ye raat meri hai
waraq-e-gul pe sher hain mere
baat bhi pat pat meri hai
sach ki surat kahi hai jis ne bhi
sach to ye hai wo baat meri hai
kya hua agar nahin mera qabza
phir bhi kul kaenat meri hai
teri qismat ho ya meri 'jami'
jo bhi hai tere sath meri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.