markaz mein tha so dhyan mein rakkha gaya mujhe
markaz meñ thā so dhyān meñ rakkhā gayā mujhe
har vaqt imtihān meñ rakkhā gayā mujhe
is ke sivā nahīñ hai masīhā mirā koī
ik umr is gumān meñ rakkhā gayā mujhe
atrāf mere khīñchā gayā ḳhauf kā hisār
Dahte hue makān meñ rakkhā gayā mujhe
merī zabāñ se quvvat-e-goyā.ī chhīn kar
gūñgoñ kī dāstān meñ rakkhā gayā mujhe
jauhar-shanās nazroñ se ojhal nahīñ thā maiñ
kyuuñ ko.ele kī kaan meñ rakkhā gayā mujhe
pahre biThā diye ga.e har baat par mirī
dāñtoñ tale zabān meñ rakkhā gayā mujhe
achchhā mazāq hai ye mirī sādgī ke saath
fashion-zada dukān meñ rakkhā gayā mujhe
karnā hī thā sipurd jo qātil ko ek din
is darja kyoñ amaan meñ rakkhā gayā mujhe
chāroñ taraf se mujh pe zamīñ tañg kī ga.ī
kahne ko āsmān meñ rakkhā gayā mujhe
talvār kā savāl yahī jañg-jū se thā
kyuuñ aaj tak miyān meñ rakkhā gayā mujhe
harakat pe hai jumūd to iz.hār par sukūt
'nāyāb' kis jahān meñ rakkhā gayā mujhe
markaz mein tha so dhyan mein rakkha gaya mujhe
har waqt imtihan mein rakkha gaya mujhe
is ke siwa nahin hai masiha mera koi
ek umr is guman mein rakkha gaya mujhe
atraf mere khincha gaya KHauf ka hisar
Dahte hue makan mein rakkha gaya mujhe
meri zaban se quwwat-e-goyai chhin kar
gungon ki dastan mein rakkha gaya mujhe
jauhar-shanas nazron se ojhal nahin tha main
kyun koele ki kan mein rakkha gaya mujhe
pahre biTha diye gae har baat par meri
danton tale zaban mein rakkha gaya mujhe
achchha mazaq hai ye meri sadgi ke sath
fashion-zada dukan mein rakkha gaya mujhe
karna hi tha sipurd jo qatil ko ek din
is darja kyon aman mein rakkha gaya mujhe
chaaron taraf se mujh pe zamin tang ki gai
kahne ko aasman mein rakkha gaya mujhe
talwar ka sawal yahi jang-ju se tha
kyun aaj tak miyan mein rakkha gaya mujhe
harakat pe hai jumud to izhaar par sukut
'nayab' kis jahan mein rakkha gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.