markaz se kahin dur kisi rahguzar mein
markaz se kahīñ duur kisī rāhguzar meñ
pāoge jo miltā nahīñ bhūle se bhī ghar meñ
vo ramz talab jis kī hai mehrāb-e-haram meñ
dil meñ hai to kyā DhūñDhiye dīvār meñ dar meñ
vo baat purānī huī kab ke haiñ vo qisse
rahtā thā shab-o-roz jo saudā koī sar meñ
kyā shorish-e-daurāñ ke muqābil nahīñ rahte
Darte nahīñ maujoñ se jo palte haiñ bhañvar haiñ
dam lene ko Thahre haiñ to kyā hausla chhūTā
baaqī hai abhī kāvish-e-parvāz to par meñ
ab zād-e-safar kyā hai ba-juz ābla-pā.ī
manzil to ḳhudā jaane magar ham haiñ safar meñ
hasrat koī baaqī nahīñ TuuTe hue dil meñ
rahtā hai kahīñ koī bhī vīrān khañDar meñ
tab vaqt koī aur thā shāmeñ thiiñ sahar-gūñ
ab shab meñ koī lutf hai 'rizvāñ' na sahar meñ
markaz se kahin dur kisi rahguzar mein
paoge jo milta nahin bhule se bhi ghar mein
wo ramz talab jis ki hai mehrab-e-haram mein
dil mein hai to kya DhunDhiye diwar mein dar mein
wo baat purani hui kab ke hain wo qisse
rahta tha shab-o-roz jo sauda koi sar mein
kya shorish-e-dauran ke muqabil nahin rahte
Darte nahin maujon se jo palte hain bhanwar hain
dam lene ko Thahre hain to kya hausla chhuTa
baqi hai abhi kawish-e-parwaz to par mein
ab zad-e-safar kya hai ba-juz aabla-pai
manzil to KHuda jaane magar hum hain safar mein
hasrat koi baqi nahin TuTe hue dil mein
rahta hai kahin koi bhi viran khanDar mein
tab waqt koi aur tha shamen thin sahar-gun
ab shab mein koi lutf hai 'rizwan' na sahar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.