marna bas ek bar ka dukh hai
marnā bas ik baar kā dukh hai
daa.im to bīmār kā dukh hai
merā dukh hai jang meñ honā
zaḳhm mirī talvār kā dukh hai
zillat meñ kyā aisā nayā thā
sirf bhare darbār kā dukh hai
kaun se aañsū kaisī aa.heñ
ye ik duniyā-dār kā dukh hai
shor-sharāba merī shikāyat
sannāTā bāzār kā dukh hai
khiḌkī ko rotā hai kamra
āñgan ko dīvār kā dukh hai
kaise aañkh bachā.ūñ 'shāriq'
mez pa ḳhātir-dār kā dukh hai
marna bas ek bar ka dukh hai
daim to bimar ka dukh hai
mera dukh hai jang mein hona
zaKHm meri talwar ka dukh hai
zillat mein kya aisa naya tha
sirf bhare darbar ka dukh hai
kaun se aansu kaisi aahen
ye ek duniya-dar ka dukh hai
shor-sharaba meri shikayat
sannaTa bazar ka dukh hai
khiDki ko rota hai kamra
aangan ko diwar ka dukh hai
kaise aankh bachaun 'shaariq'
mez pa KHatir-dar ka dukh hai
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 104)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.