marne ka KHauf baDhne laga iKHtiyar se
marne kā ḳhauf baḌhne lagā iḳhtiyār se
ab zindagī utaar mujhe apnī car se
itnā kahā ki tujh se mohabbat hai laḌ paḌā
itnā to ab mazāq bhī hotā hai yaar se
maiñ zindagī kī bus meñ latīfe huuñ bechtā
jalne lage haiñ log mire kārobār se
kyūñki saḌak se aap kī gaaḌī guzarnī hai
saare daraḳht nikle hue haiñ qatār se
maiñ mutma.in huuñ mārne vaalā maregā saath
bāñdhā hai maiñ ne saañs ko bijlī ke taar se
is ahd meñ hai pyaar kī miqdār baḌh ga.ī
ik shaḳhs pyaar karne lagā chaar chaar se
maiñ ne badan ke ghar se use aaq kar diyā
ik raat aañkh bhāgī tire intizār se
number pe us ke kitne hī message kiye ga.e
aayā na ik javāb bhī parvardigār se
marne ka KHauf baDhne laga iKHtiyar se
ab zindagi utar mujhe apni car se
itna kaha ki tujh se mohabbat hai laD paDa
itna to ab mazaq bhi hota hai yar se
main zindagi ki bus mein latife hun bechta
jalne lage hain log mere karobar se
kyunki saDak se aap ki gaDi guzarni hai
sare daraKHt nikle hue hain qatar se
main mutmain hun marne wala marega sath
bandha hai main ne sans ko bijli ke tar se
is ahd mein hai pyar ki miqdar baDh gai
ek shaKHs pyar karne laga chaar chaar se
main ne badan ke ghar se use aaq kar diya
ek raat aankh bhagi tere intizar se
number pe us ke kitne hi message kiye gae
aaya na ek jawab bhi parwardigar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.