marne ka pata de mere jine ka pata de
marne kā pata de mire jiine kā pata de
ai be-ḳhabarī kuchh mire hone kā pata de
ik dūsre kī āhaToñ pe chalte haiñ sab log
hai koī yahāñ jo mujhe raste kā pata de
ḳhud aap se bichhḌā huuñ maiñ is andhe safar meñ
ai tīrgī-e-shab mire saa.e kā pata de
is aas pe har aa.ine ko joḌ rahā huuñ
shāyad koī reza mire chehre kā pata de
guzrī hai mirī 'umr sarāboñ ke safar meñ
ai reg-e-ravāñ ab kisī chashme kā pata de
har pal kisī aahaT pe mire kaan lage haiñ
jaise abhī koī tire aane kā pata de
bikhrā huā huuñ sadiyoñ kī be-ant tahoñ meñ
mujh ko koī kho.e hue lamhe kā pata de
dahlīz dilāsā hai na dīvār amaañ hai
ai dar-badarī mere Thikāne kā pata de
huuñ qaid hisār-e-rag-e-girdāb meñ 'sarmad'
koī nahīñ jo mujh ko kināre kā pata de
marne ka pata de mere jine ka pata de
ai be-KHabari kuchh mere hone ka pata de
ek dusre ki aahaTon pe chalte hain sab log
hai koi yahan jo mujhe raste ka pata de
KHud aap se bichhDa hun main is andhe safar mein
ai tirgi-e-shab mere sae ka pata de
is aas pe har aaine ko joD raha hun
shayad koi reza mere chehre ka pata de
guzri hai meri 'umr sarabon ke safar mein
ai reg-e-rawan ab kisi chashme ka pata de
har pal kisi aahaT pe mere kan lage hain
jaise abhi koi tere aane ka pata de
bikhra hua hun sadiyon ki be-ant tahon mein
mujh ko koi khoe hue lamhe ka pata de
dahliz dilasa hai na diwar aman hai
ai dar-badari mere Thikane ka pata de
hun qaid hisar-e-rag-e-girdab mein 'sarmad'
koi nahin jo mujh ko kinare ka pata de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.