marne ki ada aur hai jine ki ada aur
marne kī adā aur hai jiine kī adā aur
jo chāhūñ samajhnā bhī to roke hai anā aur
kuchh soch ke qadmoñ ko na dī ham ne bhī jumbish
ilzām na rakh jaa.e kahīñ phir se havā aur
takmīl kī manzil hī mirī rāh-e-fanā hai
kyoñ mujh ko dikhāte ho yahāñ rāh-e-baqā aur
jab se maiñ ikaa.ī kā alam le ke chalā huuñ
ehsās ye hotā hai judā hone lagā aur
ye soch ke kartā nahīñ tūfāñ kā ta.āqub
mumkin hai badal jaa.e zamāne kī havā aur
ye kaun sī manzil hai ki muTThī nahīñ khultī
hai jab ki mire sāmne ik kaalī balā aur
marne ki ada aur hai jine ki ada aur
jo chahun samajhna bhi to roke hai ana aur
kuchh soch ke qadmon ko na di hum ne bhi jumbish
ilzam na rakh jae kahin phir se hawa aur
takmil ki manzil hi meri rah-e-fana hai
kyon mujh ko dikhate ho yahan rah-e-baqa aur
jab se main ikai ka alam le ke chala hun
ehsas ye hota hai juda hone laga aur
ye soch ke karta nahin tufan ka taaqub
mumkin hai badal jae zamane ki hawa aur
ye kaun si manzil hai ki muTThi nahin khulti
hai jab ki mere samne ek kali bala aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.