marne pe mere dasht mein mahshar ka saman hai
marne pe mere dasht mein mahshar ka saman hai
Dr. Habib ur Rehman
MORE BYDr. Habib ur Rehman
marne pe mire dasht meñ mahshar kā samāñ hai
ik shor-e-qayāmat hai koī āh-o-fuġhāñ hai
roke to koī 'umr-e-subuk-ḳhez ko yaaro
ik asp-e-subuk-gām hai ik āb-e-ravāñ hai
ummīd-e-vafā rakhte ho kyoñ ziist se logo
mai-kash na rahe jaane kahāñ pīr-e-muġhāñ hai
maqtal meñ ‘alassub.h ḳhamoshī kā huā raaj
ab ek fasāna hī yahāñ raqs-kunāñ hai
parvān chaḌhī buuñd jo āġhosh-e-sadaf meñ
qismat ki vo zebā.ish-e-hulqūm-e-butāñ hai
tāsīr nahīñ merī kisī baat meñ 'sālik'
kahtā nahīñ huuñ kuchh bhī ki lafzoñ kā ziyāñ hai
marne pe mere dasht mein mahshar ka saman hai
ek shor-e-qayamat hai koi aah-o-fughan hai
roke to koi 'umr-e-subuk-KHez ko yaro
ek asp-e-subuk-gam hai ek aab-e-rawan hai
ummid-e-wafa rakhte ho kyon zist se logo
mai-kash na rahe jaane kahan pir-e-mughan hai
maqtal mein ‘alassubh KHamoshi ka hua raj
ab ek fasana hi yahan raqs-kunan hai
parwan chaDhi bund jo aaghosh-e-sadaf mein
qismat ki wo zebaish-e-hulqum-e-butan hai
tasir nahin meri kisi baat mein 'salik'
kahta nahin hun kuchh bhi ki lafzon ka ziyan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.